NazmeN
School ka zamana
School se aane wale bata
School ki halat kaisi hai
Itna hi bata de tu mujhko
Ostad ki shafqat kaisi hai
Larke bhi naye aaye hoN ge
Ab unki mohabbat kaisi hai
Schoolse aane wale bata
School ke chote hisse meN
Ek bagh lagaya tha hum ne
Her phool ke beej lagaye the
PhooloN se sajaya tha humne
Wo bagh hamara kaisa hai
Jo bagh lagaya tha humen
Schoolse aane wale bata
Angrezi ki ganti meN ab bhi
Kya murgha banaya jata hai
Wo morgha banakar kar phir per
LarkoN per baitha jata hai
AakheN bhi dikhayee jati hai
Danda bhi chalaya jata hai
Schoolse aane wale bata
Kamre hain wahi chote chote
Ya phir se banaya hai unko
Hain farsh wahi maile maile
Ya phir se dhulaya hai unko
Tasweer wahi aawezaN hai
Ya phir se sajaya hai unko
Schoolse aane wale bata
Kya hota hai zikr naiyyer bhi
Ahbab ki mahfil mai gahe
Kya yad bhi karwat leti hai
Mahaul ki manzil mai gahe
Aur huk si uthti hai ke nahi
Ai dost tere dil mai gahe
Schoolse aane wale bata
("Aman_Ullah naiyyer shaokat")
Oh great!! Apna bachpan yaad aagaya.. Kitni khubsurat nazm hai. Masha allah
ReplyDelete