Ek pari-ru ko muNh zabaani huiN
Meri GhazleN to ghair faani huiN
Jin ke hone se khush bayaaN the hum
DaastaaneN woh sab puraani huiN
Din dhala, thak ke hum bhi laut gaye
Dukh ki parchhaiyaaN syaani huiN
Ab muqaffal naye makaan meN haiN
Saari cheezeN jo khaandaaneN huiN
Sharm, shokhi, rijhaao, bhola pan
RangateN us ki pur ma’aani huiN
Sach hai, Ghaafil mizaaj thi duniya
AafateN bhi to naagihaani huiN
Ghalib Ayaz
***************************
Yeh shaam kitni haseeN hai, magar udaas hai dil
Koi sabab bhi naheeN hai, magar udaas hai dil
Bahut dinoN pe maiN phir apne gaaoN aaya huN
Suna hai woh bhi yaheeN hai, magar udaas hai dil
Phir uss makaan ki khiRki meN chaNd ugtaa hai
Phir us meN koi makeeN hai, magar udaas hai dil
Yeh kaaNpte hue hoNtoN ka lams, yeh khushbu
Woh aaj kitna QareeN hai, magar udaas hai dil
Yeh gooNjti hui waadi, yeh nuQrayi aawaaz
YahiN pe wo bhi kaheeN hai, magar udaas hai dil
Bas ek nigaah jise dekhne ki hasrat thi
Woh aaj pahloo nasheeN hai, magar udaas hai dil
Yeh Gham ki shab bhi dhalegi, sehar bhi aayegi
Har ek shai pe yaQeeN hai, magar udaas hai dil
Bahut hi doob ke kahta huN yeh Ghazal ‘Muztar’
BaRi shaguftaa zameeN hai, magar udaas hai dil
By: Muztar Khairabadi
*************************
TUJH KO PHIR AAGHAZ NAYAA DETAA HUN
AA TUJHE MANZIL KA PATAA DETAA HUN
AB ISHQ KAANJAAM KYOUN PUCHTE HO
MAIN ISHQ KI HAR BAAT BATA DETAA HUN
JAB BHI YAAD ULFAT KA SAFAR AATA HAI
CHARAAG-E-ISHQ DIL MEN JALA LETAA HUN
KASHMAKASH MEN DIN BHI GUZAR JAATA HAI
RAAT BHI AANKHON MEN BITAA DETAA HIN
:sartaj:TERI EK WAFAA KE BADLE……
DEKHTAA HUN,TUJH KO MAIN KYA DETAA HUN
Sartaj Anjum
Begusarai
No comments:
Post a Comment