Aata hai yad mujhko guzra huaa zamana
Wobagh ki bahareN wo sab ka chahchana
AazadiyaN kahaN ab apne ghosle mai
Apni khushi se aana apni khushi se jana
Lagti hai chot dil per aata hai yad jis dam
Shabnam ki aasuoN per kaliyoN ka muskurana
Wo peyari peyari surat wo kamni si murat
Aabad jis ke dam se tha mera aashiyana
AatiN nahi sadayeN uske mere qafas meN
Hoti meri rehayee ai kash mere bas mai
Kya badnasib hoon mai ghar ko taras raha hoon
sathi to hain watan mai mai qaid mai para hoon
Aayee bhar kaliyan phooloN ki has rah hai
Mai is andhere ghar mai kismat ko ro raha hoon
Is qaid ke ailahi dukhra kise sunaooN
Dar hai yahi qafas mai, mai gham mai mar na jaooN
Jab se chaman chuta hai ye hal ho gya hai
Dil gham ko kha raha hai gham dil ko kha raha hai
Gana ise samajh kar khush ho ke sunne waloN
Dukhe huyee diloN ki faryad ye sada hai
Aazaad mujh ko kar de ai qaid karne wale
Mai be zabaN hooN qaidi tu chor kar duaa le
Allama Iaqbal
No comments:
Post a Comment