Haspaniya tu khun E musalmaN ka amiN hai
Manind E heram pak hai tu meri nazar maiN
Poshida teri khak main sajjdoN k nishan hai
Khamosh azane E hain bad E sehar main
Raoshun thi N sitaron ki tarah in ki sanan E
Khim E the kabhi jin k tere kowa O kamar maiN
Phir tere hasino ko zarurat hai hena ki
Baqui hai abhi rang mere khun E jigre maiN
Kyun kar khas O khashak se dab jye musalman
Mana wo tabo tab nahi hai is ke sharar main
Gharnata bhi deakh hai meri aakhoN ne wlekin
Taskin E musafir na safur main na hazar main
Deakha bhi dikhaya bhi sunaya bhi suna bhi
Hai dil ki tassalli na nazar main na khaber main
Allama Iqbal
************************************
NamazeN parhna aadat ho gye hai
Bahut suni ibadat ho gyee hai
Use aane main kya majburi hogi
Hami se koyee ghaflat ho gyee hai
Lahoo main ab wo sachchayee kahan hai
K wo surf E shahaadat ho gyee hai
Arab ki sar zameeN pakiza kab thi
Muhammad ki badaulat ho gyee hai
khudako jab se pahchana hai Alavi
HameN sab se muhabbat ho gyee hai
Muhammad Alavi
****************************************
Aaj pat_thar ka khuda yad aaya
Jo huaa dil se juda yad aaya
Main sada bhulne main raha tujh ko
Tu mager mujh ko sada yad aaya
Aayee aakon mai lahu ki rangat
phir tera dast E hena yad aaya
Wo bhi hai meri tarah tanha
Hi tanhayeoN mai kya yad aaya
Deakh kar inki laga hai Ahmar
Wakt iqrar wafa yad aaya
Malik Aafaq Ahamar
******************************************
Hum mangte jahez hain khairat ki tarah
Toli bana k jate hain barat ki tarah
Larki jawan hote hi ab unke waldain
Ghar main hi rah raheN hain hawalat ki tarah
Muddat se mera name hai unki zuban per
MilteN hai ab bhi pahli mulakat ki tarah
Mali ka yeh karam hai k her sal bagh main
katl O fasad deteN hain saughat ki tarah
Hum ko ukharteN hain k halki ho ye zamiN
Hum ugh raheN hain jaise nabatat ki tarah
Basit nezam E naw mai yeh kaisi hai tirgi
Raoushan tha shaher ab kharabat ki tarh
Abdul Basit
**************************************
Dil ki barbadi ka koi silsila phale se tha
Is chiragh E shab pe altaf hawa phale se tha
Is k youN tark E muhabbat ka sabab hoga koyee
Ji nahi yeh manta wo bewafa koyee phale se tha
Donoo abpiN zindagi ke jhutpute main hai mager
Is tarah milna mukaddar main likhha phale se tha
Ab to zakhm E dil khar tawajjah hai tera
Name per jari tere harph E duaa phale se tha
Rassta bhula nahi ab k parinddE khush khaber
Aur kuch ujra huaa shaher saba phale se tha
Tere aane se bas zanjir hi badli gyee
Hum asiroN per jafa ka bab wa phale se tha
Pervin Shakir
*********************************************
Uljhe darhi choti maiN
kheloN pag lagonti maiN
Bikta deakha hai Eman
Do buti ek roti main
Sachche dar chache hain hum
Sara khot kasauti main
Sab apno k hissa se
Mera takta buti main
Aj muzaffar chan hue
Kal tak the kajloti main
Muzaffar Hanfi
**********************************
Ghira aakhoN se chur hokar
Tera saya mojassim nour ho kar
Ager cocho to wazni ho gyee hai
Hamari bat na manzoor ho kar
Kisi ka pass aakar door hona
KahiN ander mahakna zore ho kar
Nazer kaous kazah si tan rahi hai
Kisi ke jism se bharpur ho kar
Muzaffar deakhna kya ban gyee hai
Ghazal jazbat se mamoor ho kar
Muzaffar Hanfi
*******************************************
Amir shaher se sayel bara hai
Bahut nadar , laikin dil bara hai
Lahoo jamne se phale khun baha de
Yahan insaf se katil bara hai
Chattan O main ghira aur chup hai
Samumdar kahiN sahil bara hai
Kisi basti maiN hogee chuch ki hurmat
Hamare shaher se batil bara hai
Jo zillullah per Iman layee
Wahi danaoN maiN aakil bara hai
Use kho kar bahayee dard payee
ZayaN chota tha aur sahil bara hai
perveen Shakir
****************************************************************
TARANA_E_HIND
Sare jahan se achcha hindustaN hamara
Hum bulbul E hain is ki yeh gulsitaN hamara
Gurbat main hun ager hum rahta hai dil watan main
Samjho wahiN hameN bhi dil O jahan hamara
Perwat wo sab se ucha hum saya aasmaN ka
Wo santri hamara wo pasbaN hamara
Gudi mai khailti hain iski hazarooN nadiyaN
Gulshan hai jis k dam se rashk E jena hamara
Ai aab E rood E ganga wo din hai yad tujh ko
Utra tere kinare jab karwaN hamara
Mazhab nahi cikhata aapes main bair rakhna
Hindi haiN hum watan hain hindustaN hamara
Yunan O misr O rumaN sab mitt gyee jahan se
Ab tak mager hai baqui nam O nishaN hamara
Kuch bat hai k hasti mitti nahi N hamari
SadiyoN raha hai dushman doure zamaN hamara
Iqbal ; koyee mahrum apna nahi jahan mai
Maloom kya kisi ko dard E nehaN hamara
Allama iqbal
*****************************************************
TARAN_E_MILLI
Chin O arab hamara hindustaN hamara
Muslim haiN hum watan sara jahaN hamara
Tauheed ki amanat sin O main hai hamare
AasaN nahi mitana nam O nishaN hamara
DuniyaN k but kadoN mai phahla wo ghar khuda ka
Hum is k pasbaN haiN wo pasbaN hamara
TighoN k sayee main hum pal kar jawaN huyeN haiN
Khanjer helal ka hai koumi nishaN hamara
Magrib main diwarooN main gunji azaN hamari
Thamta na tha kisi se sil E rawaN hamara
Batil se dabne wale ai aasmaN nahiN hum
Saw bar kar chuka hai tu imtehaN hamara
Ai gulistan E undulus woh din hai yad tujh ko
Tha teri daliyoN main jab aashyaN hamara
Ai mauj E dajla ; tu bhi pahchanti hai hum ko
Ab tak tere darya main afsaNa khah hamara
Ai arz E pak ;teri hurmat pe kat mareN hum
Hai khuN teri ragooN main ab tak rawaN hamara
Salar E karwaN hai MIR_E HEJAZ apna
Is nam se hai baqui aaram E jaN hamara
Iqbal ka tarana bang E dara hai goya
Hota hai jada paimaN phir karwaN hamara
Allama Iqbal
**********************************************
DUAA
YArab dil E muslim ko wo zinda tamannna de
Jo kalb ko garma de jo ruh ko tarpa de
Phir wadiyee faraN k har zarre ko chamka de
Phir shauk E tamasha de phir zauk E takaza de
Mahroom E tamasha ko phir didayee bina de
Deakha hai jo main ne aurooN ko dikhla de
Bhatke huye aahu ko phir su E haram le chal
Is shaher k khuger ko phir wusat E sehra de
Paida dil E viraN main phir shish E mahsher kar
Is mahal E khali phir shahid E laila de
Is daur ki zulmat main her kalb pareshan ko
Wo dagh E mohabbat de jo chand ko sharma de
Rafaat mai makasid ko hamdarwish E suraiyya kar
Khuddari E sahil de aazadiy E dariya de
Be los mohabbat ho babak E sadakat ho
SinoN mai ujala kar dil surat E mina de
Ehsas enayat kar aasar E musibat ka
Amroze ki shurish mai andesha ferda de
Mai bulbul E nala huN ek ujra gulista N ka
Tasir ka sayel hoN mohtaj ko data de
Allama Iqbal
********************************************
Next