SoorateN zakhm ki suhaani huiN
Dard ki titliyaaN diwaani huiN
Jin ke hone se khush bayaaN the hum
DaastaaneN woh sab puraani huiN
Din dhala, thak ke hum bhi laut gaye
Dukh ki parchhaiyaaN syaani huiN
Ab muqaffal naye makaan meN haiN
Saari cheezeN jo khaandaaneN huiN
Sharm, shokhi, rijhaao, bhola pan
RangateN us ki pur ma'aani huiN
Sach hai, Ghaafil mizaaj thi duniya
AafateN bhi to naagihaani huiN
Khaab sajne lage to din mahke
Aur raateN baRi suhaani huiN
Ghalib ayaz
No comments:
Post a Comment