HaNse to aaNkh se aaNsu ravaaN hamare hue
K hum pe dost bahut mehrbaaN hamare hue
Bahut se zakhm haiN aise jo unke naam ke haiN
Bahut se qarz sar E dostaaN hamare hue
KahiN to aag lagi hai wajood ke andar
Koi to dukh hai K chehre dhuaaN hamare hue
Garaj baras ke na hum ko dubo sake baadal
To yeh hua K wohi baadbaaN hamare hue
‘Faraz’ manzil E maqsood bhi na thi manzil
K hum ko chhoR ke saathi ravaaN hamare hue
Ahamad Faraz
No comments:
Post a Comment