Raag mein rang mein khushbu mein nahaayi hui raat
ORhh lii hai teri yaadoN se sajaayi hui raat
Kya koi sho’la-e-khush-rang chhupa hai mujh mein
Laut jaati hai dar-e-chashm pe aayi hui raat
Ab mere hujraa-e-wahshat mein ammaN chahti hai
Rang aur noor ke haathoN yeh sataayi hui raat
Ho gayiN phir se tahi-dast hamaari aaNkhein
Subh par hum ne lutaadi hai kamaayi hui raat
Mo’jezaa-gar thi teri sard-nigaahi sar-e-shaam
Kitne khaaboN ki mere dil se rihaayi hui raat
Hum har ek cheez ko pur noor samajh baithe hain
Jab se hai khitta-e-ehsaas pe chhayi hui raat
(Ghalib Ayaz)
No comments:
Post a Comment