Tuesday, November 30, 2010

Ek chehra to aisa ho...


Ek chehra to aisa ho
Jo mere liye sajta ho

Sham dhale ek darwaza
Rah meri bhi takta ho

Mera dukh wo samjhe ga
Meri tarah wo tanha ho

Ek suhana sa mustaqbil ;
Khab sa koyee deakha ho

Ab shahzad wo dipak hai
Jo tufan mai jalta ho
                  ferhat Shahzad

Rayees E shaher hai jallad logo...

Rayees E shaher hai jallad logo
Yahan qatil phire aazad logo

Hamari sada lohi ke sabab hi
Zamana ban gya saiyaad logo

Lahoo ki Naher jari ho rahi hai
Sipahi ban gye ferhad logo

Hukumat se shikayat hi abas hai
Wahi to hum sitam ejad logo

Mujhe ab tak yaqeeN aata nahi hai
hamara mulk hai aazad logo
                 Abdul Basit

Amir shaher se sayel bara hai...



Amir shaher se sayel bara hai
Bahut nadar , laikin dil bara hai

Lahoo jamne se phale khun baha de
Yahan insaf se katil bara hai

Chattan O main ghira aur chup hai
Samumdar se kahiN sahil bara hai

Kisi basti maiN hogee chuch ki hurmat
Hamare shaher se batil bara hai

Jo zillullah per Iman layee
Wahi danaoN maiN aaqil bara hai

Use kho kar bahayee dard payee
ZayaN chota  tha aur sahil bara hai

                           Perveen Shakir

Ghira aakhoN se chur hokar ...

Ghira aakhoN se chur hokar
Tera saya mojassim nour  ho kar

Ager cocho to wazni ho gyee hai
Hamari bat na manzoor ho kar

Kisi ka pass aakar door hona
KahiN ander mahakna zore ho kar

Nazer kaous kazah si tan rahi hai
Kisi ke jism se bharpur ho kar

Muzaffar deakhna kya ban gyee hai
Ghazal jazbat se mamoor ho kar
                                                Muzaffar Hanfi

Sunday, November 21, 2010

Nahi hai jo sehra dar O bam de





Nahi hai jo sehra dar O bam de
Mai khali hooN mujh ko koyee kam de

Tere dasht O wosat se mahroom the
Mere wahashtoN na ilzam de

Kise chahyee ratjagooN ka sila
Kaha kis ne nindoN ka inaam  de

Jahan tak safar mera jari rahe
Wahan tak sakut E sare sham de

Ye kam mojza hai mere khab ka
Haqiqat ka to bhi to ise name de
                   Shahreyar

Yeh jab hai k khab se rishta hai hamara



 Yeh jab hai k khab se rishta hai hamara
Din dhalte hi dil dubne lagta hai hamara

ChehrooN k samander se guzarte rahe phir bhi
Ek aks ko aaeena tarasta hai hamara

In logoN se kya kahyee k kya beet rahi hai
Ahwal mager tu to samajhta hai hamara

Her more pe perta hai wasta isse
Duniyaa se alag kahne ko rasta hai hamara

                       Shahreyar

Tamam khalk E khuda Deakh kar yeh hairann hai

Tamam khalk E khuda Deakh kar yeh hairann hai
Ke sara shaher mere khab se pareshan hai

Mai is safar mai kisi more per nahi thahra
Raha kheyal k wo wadi E ghazlaN hai

Ye ek meN k teri arzoo hi sab kuch hai
Wo ek to ke mere sayee se gurizaN hai

Tuhafz E se tera kyuN nahi mitta
Jo yad rakhna mushkil bhulana aasan hai

Mai is kitab ke kis bab ko parhhoN pahle
Wesal jis ka hai mazmoon feraq unwan hai
Shahr E yar

Thursday, November 18, 2010

Usi ka jaanfezaa paighaam aaya

Usi ka jaanfezaa paighaam aaya
Musibat me khuda hi kaam aaya

Zara pasti men qismat aazmaalun
Bulandi se to main naakaam aaya

Bahut unchi uranen bharne walaa
Parindaa aaj zer e daam aayaa

Shaheed e ishq me ye dekhnaa to
Hamaare baa’d kiska naam aayaa

Junun pahle se thaa teri gali men
Kherad ko bhi wahin aaraam aayaa

Hamaari baat banne jaa rahi thi !
Tabhi basti men ek gulfaam aayaaa

              Ghalib Ayaz

HaNse to aaNkh se aaNsu ravaaN hamare hue

HaNse to aaNkh se aaNsu ravaaN hamare hue
K hum pe dost bahut mehrbaaN hamare hue


Bahut se zakhm haiN aise jo unke naam ke haiN
Bahut se qarz sar E dostaaN hamare hue


KahiN to aag lagi hai wajood ke andar
Koi to dukh hai K chehre dhuaaN hamare hue


Garaj baras ke na hum ko dubo sake baadal
To yeh hua K wohi baadbaaN hamare hue


‘Faraz’ manzil E maqsood bhi na thi manzil
K hum ko chhoR ke saathi ravaaN hamare hue

     
                    Ahamad Faraz


Too paas bhii ho to dil beqaraar apnaa hai


Too paas bhii ho to dil beqaraar apnaa hai
K ham ko teraa nahiiN intazaar apnaa hai


Mile koyii bhi teraa zikr chheR dete haiN
K jaise saaraa jahaaN raazdaar apnaa hai


Vo door ho to bajaa tark E dostii ka Khayaal
Vo saamane ho to kab iKhtiyaar apnaa hai


Zamaane bhar ke dukhoN ko lagaa liya dil se
Is aasare pe K ek Gham-gusaar apanaa hai


‘Faraz’ raahat E jaaN bhii vohii hai kyaa kiije
Vo jis ke haath se siinaa figaar apnaa hai …!!

            Ahamad Faraz

Husn ke zer E baar ho K na ho!!


Husn ke zer E baar ho  K na ho!!
Ab ye dil be-qaraar ho K na ho


Marg E amboh dekh aate haiN!!
AaNkh phir ashkbaar ho K na ho


Karb E paiham se hogaya pat_thar
Ab ye seenaa figaar ho K na ho


Phir yahi rut ho ain mumkin hai
Par teraa intezaar ho K na ho


Shakh E zaitoon ke amiN hum haiN
Shahr meN ishtehaar ho K na ho


DaaGh E dil hum dikhaye jate haiN
Us pe hai – Sharmsaar ho K na ho


She’r mere saNbhaal kar rakhna!
Ab ghazal mushkbaar ho K na ho

                           Ghalib Ayaz

Wednesday, November 17, 2010

Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya

Insha Ji Utho, Ab Kooch Karo, Iss Shahr Mai Ji Ka Lagana Kya
Wahshi Ko Sukoo’N Say Kya Matlab, Jogi Ka Nagar MaiN Thikana Kya

Iss Dil K Dareeda Daaman Ko, Dekho To Sahi, Socho To Sahi
Jiss Jholi Mai Sau Chaid Huay, Uss Jholi Ka Phailana Kya

Shab Beeti Chaand Bhi Doob Chala, Zanjeer Pari Darvazay Mai
KyuN Dair Gaaye Ghar Aaye Ho, Sajni Say Karo Gay Bahana Kya

Phir Hijar Ki Lambi Raat Miaan, Sanjog Ki To Hai Aik Ghari
Jo Dil Mai Hai Lab Par Aanay Do, Sharmana Kya Ghabrana Kya

Uss Roz Jo Unko Dekha Hai, Abb Khuwaab Ka Aalam Lagta Hai
Uss Roz Jo Unn Say Baat Huee, Wo Baat Bhi Thi Afsana Kya

Iss Husan K Suchchay Moti Ko, Hum Dekh Sakain Par Chhoo Na SakaiN
Jise Dekh Sakain Par Chu Na Sakain, Wo Daulat Kya Wo Khazana Kya

Usko Bhi Jala Dukhtay Huay Mun, Ik Shola Aag Bhabhuka Bann
Younh Aansu Mai Behh Jana Kya, Younh Maati Mai Mil Jana Kya

Jab Shahr K Log Na Rasta DaiN,  KyuN Bann Mai Na Ja Basraam Kare
Deewano’n Ki See Na Baat Karay, To Aur Karay Dewana Kya
Ibn E Insha

Pahle jab bhi dil dukhta tha



Pahle jab bhi dil dukhta tha
Tujh ko soch liya karta tha

Kal jis jaa baaraat ruki thi
Aaj wahaN par sannata tha

Pahla baal paka dekha jab
Us din to dil doob gaya tha

Uski hatheli par hontoN se
Maine apna naam likha tha

Mere dukh me ro paRti thi
Jaane us ka dil kaisa tha!

Mere pairoN me larzish thi
Tera kutta bhoonk raha tha

‘General Knowledge Book’  meN chhupa kar
Tera khat paRhta rahtaa tha
Ghalib ayaz

SoorateN zakhm ki suhaani huiN

SoorateN zakhm ki suhaani huiN
Dard ki titliyaaN diwaani huiN

Jin ke hone se khush bayaaN the hum
DaastaaneN woh sab puraani huiN

Din dhala, thak ke hum bhi laut gaye
Dukh ki parchhaiyaaN syaani huiN

Ab muqaffal naye makaan meN haiN
Saari cheezeN jo khaandaaneN huiN

Sharm, shokhi, rijhaao, bhola pan
RangateN us ki pur ma'aani huiN

Sach hai, Ghaafil mizaaj thi duniya
AafateN bhi to naagihaani huiN

Khaab sajne lage to din mahke
Aur raateN baRi suhaani huiN

                Ghalib ayaz

Monday, November 15, 2010

Hont ke shigaaf bhar diye gaye

Hont ke shigaaf bhar diye gaye
Lafz paayamaal kar diye gaye!!

Uraan ki sazaa koi ghalat na thi
Khahishon ke par katar diye gaye

Fitratan hi zindagi udaas thi!!!
Warna kitne naghmagar diye gaye

Jaan ki amaan de rahe the woh
Hum harees, nazr e sar diye gaye

Titliyaan udaad hain chaman ko jab
Be hunar bahaar gar diye gaye!!

Zindagi ne dukh hi dukh diye magar!!
Hum “bakhair hain” khabar diye gaye

                                  Ghalib Ayaz
Tere maqtal ki aabroo hum the

Qatl ke waqt baa-wazoo hum the

Yeh nadee ab kise bulati hai?

Pahle to is ki justajoo hum the

Apni basti ko yaad hai ke nahiN

Uski galiyoN ki haau-hu hum the

Tishnagii de rahi thi sairaabi!!

Pyaas k din kanaar e joo hum the

Apne kuchh khaab yad aane lage

Raat maazi ke ru baroo hum the

Jaane kis baat pe vo rooth gaye

Hum nawaalaa the hum sobu hum the

                 Ghalib Ayaz


Khuda ka shukr mujhe besh-az-gumaan mila

Tumhare reshmi aaNchal ka saayabaan mila

Na jaane mujh meN samaayi thiN hijrateN kitni

Tere wajood se mujh ko mera makaan mila

Khuda ne humpe hadeN kitni baNdh rakkhi haiN

Hisaar e jism se nikle to aasmaan mila !!

Hum uske jabr ka qissaa sunaate kis kis ko

YahaaN to jo bhi milaa, uska hamzaban mila

HikayateN thiN meri raaviyoN ke narGhe meN

Phir uske baad jahaaN mujh se bad gumaan mila

Suna hai shahr ki buniyaad us ne daali thi

Jo shakhs kal meri basti me be amaan mila

Ye shayeri mujhe maqdur bhar mili hi nahiN

Magar abhi bhi koi le to mujh se taan mila
                                           Ghalib Ayaz
Bahte daryaa meN utar jana tha

Khaak the aur bikhar jana tha

Us se bichhRe to zamaanaa beeta

Ab talak zakhm ko bhar jana tha

Maan letaa huN tujhe hi manzil!!

Ab kahaaN yaad kidhar jana tha

Hausle ham ne bachakar rak_khe

Jab hameN had se guzar jana tha

Jaan !!! is hijr pe ronaa kaisa!!!

Ek din yuN bhi to mar jana tha

                       Ghalib Ayaz

Tere ishq ki inteha chaahta hooN

Tere ishq ki inteha chaahta hooN
Meri saadgi dekh kya chaahta hooN

Sitam ho K ho wadaa E be-hijaabi
Koi baat sabr-aazma chaahta hooN

Yeh Jannat mubarak rahe zaahidoN ko
K maiN apka saamna chaahta hooN

Zara sa to dil hooN magar shauq itna
Wohi lantaraani suna chaahta hooN

Koi dum ka mehmaan hooN ae ahl E mahfil
Chirag E sehar hooN bujha chaahta hooN

Bhari bazm meN raaz ki baat kahdi
BaRa be-adab hooN sazaa chaahta hooN
            Allama Iqbal
Shak men saare logon ko mubtila yon kar jaaun
Saamne ho teraa ghar,  aur main guzar jaaun!!!

Saath saath chalne kaa  zindagi se waadaa hai
Ji magar mera chaahe, is se ab bichhad jaaun

Kho gaye hain raahi, aur raaste salamat hain
Main to aisi na – deeda, manzilon se dar jaaun

Band har taraf ke dar,   kar de meri naadaaree
Ab main kiske ghar thahrun, ab main kis nagar jaaun

Ishq me barabar hain hum sabhi to phir kyon na
Too gali men ruk ek din aur main baam per jaaun

Khoyi  khoyi  woh  larki,  mere   geet ki  rangat
Muskuraaye woh lekin, main khushi se bhar jaaun
Ghalib ayaz

Khush numa lafz ki sawaari bas

Khush numa lafz ki sawaari bas
Shahr walon ko ek madaari bas
Ishq me aur kya hua hum se
Dhang se ki hai ashk baari bas
Ek nauras kali ka gul ban_na
Zindagi!! teri payedaari bas
Fasl e gul kaynat ki, mujh ko
Teri chahat ki aik kyaari bas
ManzileN Ghair ke liye makhsus
Apne hisse meN khabkaari bas
Ek bejaan muskurahat hai !!!!
Oonche logoN ki inkesaari bas
Aur kiyaa seekhte zamaane se
Hogaye hum bhi kaar o baari bas
 Ghalib ayaz

NamazeN parhna aadat ho gye hai...

NamazeN parhna aadat ho gye hai
Bahut suni ibadat ho gyee hai 


Use aane main kya majburi hogi 
Hami se koyee ghaflat ho gyee hai 


Lahoo main ab wo sachchayee kahan hai
K wo surf E shahaadat ho gyee hai 


Arab ki sar zameeN pakiza kab thi 
Muhammad ki badaulat ho gyee hai


khudako jab se pahchana hai  Alavi 
HameN sab se muhabbat ho gyee hai