Thursday, July 25, 2013

Raag Mein Rang Mein Khushbu Mein...


Raag mein rang mein khushbu mein nahaayi hui raat

ORhh lii hai teri yaadoN se sajaayi hui raat

Kya koi sho’la-e-khush-rang chhupa hai mujh mein

Laut jaati hai dar-e-chashm pe aayi hui raat

Ab mere hujraa-e-wahshat mein ammaN chahti hai

Rang aur noor ke haathoN yeh sataayi hui raat

Ho gayiN phir se tahi-dast hamaari aaNkhein

Subh par hum ne lutaadi hai kamaayi hui raat

Mo’jezaa-gar thi teri sard-nigaahi sar-e-shaam

Kitne khaaboN ki mere dil se rihaayi hui raat

Hum har ek cheez ko pur noor samajh baithe hain

Jab se hai khitta-e-ehsaas pe chhayi hui raat


(Ghalib Ayaz)

Thursday, June 23, 2011

Deakh zamane ka dastoor...

Deakh zamane ka dastoor
Tu mujh se mai tujh se door

Tanha tanha tanha phirte hai
Dil viraN aankheN be Noor

Dost bicharte jate hain
Shauq liye jate door

Hum apna ghum bhool gaye
Aaj kise dekha majboor

Dil ki dharkan kahti hai
Aaj koye aaye ga zaroor

Koshish lazim hai peyare
Aage jo usko manzoor

Suraj doob chala :Nasir:
Aur abi hai manzil door

Monday, June 13, 2011

Dukh fasana nahi k tujh se kaheN.............

Dukh fasana nahi k tujh se kaheN
Dil Bhi Mana nahi k tujh se kaheN

Aaj tak apni bekali ka sabab
Khud bhi jana nahi k tujh se kaheN

Be tarah haal E dil hai aur tujh se
Dostana nahi k tujh se kaheN

Ek To harf E aashna tha magar
Ab zamana nahi k tujh se kaheN

Qasid hum faqeer logoN ka
Ab thikana nahi k tujh se kaheN

Ya khuda  dar E dil hai bakhshish dost
Aab O dana nahi k tujh se kaheN

Ab to apna is gali men " Faraz "
Aana jana nahi k tujh se kaheN


Ahamad Faraz

Tere qarib aa ke bari uljhano men hooN...........

Tere qarib aa ke bari uljhano men hooN
Mai dushmano men hoon k tere doston hoN

Ai yaar khush dayaar tujhe kya khabar k maiN
Kab se udaasiyoN ke ghane janggaloN men hooN

Tu loot  kar bhi ahl E tamanna ko khush nahiN
Mai lut ke bhi wafa ke qafloN men hooN

Badla na mere baad bhi mauzu E guftagu
Mai ja chuka hoon phir bhi tere mahfiloN men hooN

Mujh se bichhar kar tu bhi roye ga umr bhar
Ye soch le k mai bhi tere khahishoN men hooN

Khud bhi misaal E lala Sehra lahoo lahoo
Aur khud " Faraz " apne tamashayON men hoon

Ahmad Faraz

Wednesday, June 8, 2011

Tamam ilm tere hain hunar bhi tere hain...........

Tamam ilm tere hain hunar bhi tere hain
Har ek ghaun tera hai  Shahr bhi tere hain
 

Ibadton men  guzari jo raat ,teri hai
Jo ghaflatoN kate wo sehr bhi tere hain 

     Tere kamal ka adna sa ye karishma hai
          Ke aabshar bhi tera hunar bhi tere hain

Alamton men bayaN ki haqiqateN Apni
Kalim tera hai Aur khizar bhi tere hain
                                       
Hum aadmi hi nahi neak o bad k sangam hain
  Tamam khair hain tere to shar bhi tere hain

Isi liye to meri mokhtalif Safahten hain
Ke rahmaten hain teri to qahr bhi tere hain

  ye chalte phirte nazar aarahe hain aadam zaad
Jo zabar khak hue wo bashar bhi tere hain

Hum apni rah se” Basit ” bhtak gaye kaise
Ke Raaste bhi tere Rahbar bhi tere hain

                                   Abdul Basit

Tuesday, June 7, 2011

BarsoN ke baad dekha ek shakhs dilruba sa
Ab zehn men nahi hai par naam tha bhala sa
Abru khinche khinche se ankhen jhuki jhuki si
BataiN  ruki  ruki  si  Lehja  thaka  thaka  sa
Alfaz the k jugnu aawaz ke safar men
Ban jaye jangaloN men jis tarah raasta sa
KhaaboN men khaab uske yadoN men yaad uski
NeendoN men ghul gya ho jaise k rat-jaga sa
Pahle bhi log aaye kitne hi zindagi men
Wo har tarah se lekin auroon se tha juda sa
Kuch ye k muddatoon se hum bhi nahi the roye
Kuch zahr men ghula tha ahbaab ka dilasa
Phir yuN hua k sawan aankhoN men aa base the
Phir yuN hua k jaise dil bhi tha aablaa sa
Ab such kahaiN to yaro hum ko khabar nahi thi
Ban jaye ga qayamat ek waqeya zara sa
Tewar the be rukhi ke,  andaaz dosti ka
Wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa
Hum dasht the k darya hum zahr the k amrit
Nahuq the zo’m humko jab wo nahi tha piyasa
Humne bhi usko dekha kal sham ittefaqan
Apna bhi haal hai ab logo “Faraz” ka sa

Wednesday, June 1, 2011

شام ہوئی سورج ڈوبا



شام ہوئی سورج ڈوبا 
چَلنے لگی اب سرد ہوا 

         
shaam hui suraj duba
Chalne lagi ab sard hawa

Bhini bhini khushbu aayi
Halka halka dard barha

Kisne ki hai ! tujse wafa
Name hai kya ? kuch to bata

Kiski yaad men khoya hai
Raat Barhi ghar ko ja 

Zulfijamil